Thursday, 23 February 2012

har shaks kuch kehta hai

har shaks kuch kehta hai,
koi rulata hai, to koi hasata hai,
koi aayne dikhata hai, to koi zindagi k mayne sikhate hai,
koi zara se waqt mei zindagi bhar ki khushiya dikhata hai
to koi un khushiyo ko apne sang wapis le jata hai,
koi dhundli aur ujli tasveero mai bas jata hai,
to koi zanzeero ko jakde hue dil k kisi kone mei chup jata hai,
koi sehna sikhata hai,
to koi us dherya k dhage ko todh jata hai,
ye "koi" saala jo bhi hai, hota lajawab hai,
baithe baithe zindagi k haseen aur gamgeen lamho ka safar karwa jata hai